Kush’gawaar zindagi hasil karne ka teesra usool “TAQ’WA” hai
bismillah'hirrahma'nirraheem
Tamam qism ki tareef us allah wah'dahu la'shareek, malik-e-ard-wa-sama, ke liye hai jisne hame musalman ghar mai paida kiya aur muslim banaya. aur besh'baha durood-o-salam ho us zat-e-muqad'dasa per jo tamam insanyat ke liye rushd-o-hidayat bana kar bheje gaye...
Farman e ilaahi hai:
“Jo shaks neek aamal kare, mard ho ya aurat, ba’shart ki imaan wala ho to use hum yaqeenan bahut acchi zindagi aata karege aur unke neek aamal ka behtar badla bhi zaroor denge” [AL-NAHAL: 97]
Allah tala ne tamam insano ko mitti se paida kiya aur aadam (AS) ko un sub ka baap banaya. is lihaz sub ki bunyaad to ek hai lekin ka’ee aitbaar se wo ek doosre se mukhtalif hai. Koi shakal suraat ke aitbar se ek doosre se aalag to koi maa’shee aitbar se ek dosre se aalag hai. Koi maaldar, koi gareeb, koi baakheel, koi sakhi, ise tarah imaan aur aamal ke aitbaar se bhi wo aalag aalag nazaryaat ke hamil nazar aate hai. koi moomin, koi kaafir, koi neek, koi paarsa, koi faasiq o fajir, koi ba’kirdar, koi ba’ikhlaaq, aur koi bad’kirdar aur koi bad’ikhlaaq, lekin ye sub ke sub apne ahwaal me mukhtalif hone ke bawajood ek baat pe muttafiq nazar aate hai aur wo hai khush’haal zindagi ki taman’na aur aarzoo.
Aap mai se her aadmi ye chahta hoga ki wo khushgawaar aur ba’waqaar zindagi hasil kar sake aur dunya ki pareshaniyo aur mushkilaat se chutkara pa sake. Is mukhtasar se article mai hum khush’gawaar zindagi ke husool aur pareshaniyo aur azma’esho se najat hasil karne ke kuch usool zikr kar rahe hai, Agar hum in per aamal karege to insh’allah zaroor apne maqsad ko pahuch jayege.
To aaye hum qur’an-o-sun’nat ki roshni mai khus’gawaar zindagi ke usool dhonte hai.
Kush’gawaar zindagi hasil karne ka teesra usool “TAQ’WA” hai:
Taqwa dunya ke dukho, takleefo, aur pareshaniyo se najat pane ke liye aur khusu’san un logo ke liye ek nuskha-e-keem’ya hai jo beroz’gari, gurbat aur qarzo ki wajah se inti’haa'e pareshan rahte hoo. Taqwa se murad allah taala se aisa khof khaana hai jo bande ko allah ki nafarmaani se aur haraam kaam se rok de aur jab kisi insan ke dil mai allah taala ka aisa dar aur khouf paida ho jata hai ki jis ki wajah se wo parhez’gaar ban jaata hai aur tamaam kamo se ijtinaab kar leta hai to allah taala ka us ye waada hai…
Allah farmata hai: “waman yattaqi Allaha yajAAal lahu makhrajan. Wayarzuqhu min haythu la yahtasibu” [surah talaq# 2,3]
“Aur jo shaksh allah taala se darta hai, allah us ke liye mushkilaat se nikalne ki raah hamwar kar deta hai aur use aisi jagah se rizq deta hai jaha se use wahem-o-guman bhi nahi hota”
Aur farmaya: “waman yattaqi Allaha yajAAal lahu min amrihi yusran”
“aur jo shaksh allah se darta hai, allah us ke liye kaam mai asaani paida kar deta hai” [surah talaq# 4]
Aur farmaya: “walaw anna ahla alqura amanoo waittaqaw lafatahna AAalayhim barakatin mina
alssama-i waal-ard”
“aur agar ye bastiyo wale ee’maan le aate aur allah ki nafarmaani se bachte to hum un per asmaan aur zameen se (barkaat ke) darwaze khol dete” [surah al-aaraf# 96]
Mere mohtaram dosto! In tamam aayato mai kamyaabi aur kush’haal zindagi ke husool ke liye ek azeem usool mutay’yan kar diya gaya hai, aur wo hai allah taala se darte hue uski nafarmaniyo se ijtinaab karna. Q ki aisa karne se allah taala momin bande ke liye her qism ki takleef se nikalne ka rasta bana deta hai, aur us ke her kaam ko aasan kar deta hai aur uper neeche se uske liye rizq ke darwaze khol deta hai.
Aaye zara is usool ki roshni mai ham apne halat ka jaiza le!! Ek taraf hum kush’haal aur kamyaab zindagi ki tamana rakhte hai aur doosri taraf hum allah ki nafarmani bhi karte rahte hai. Maslan: namazo mai susti aur gaflat, jhoot, geebat, chugal’khori, sood ka leena aur deena, waaldain aur qurabt’daaro se badsulooki, bhala bataye aisi haalat mai kush’haali aur saa’dat bhari zindagi naseeb ho sakti hai? Aur kya is tarah mushkilaat ka aa’zaala ho sakta hai?
Hame ye baat yaad rakhni chaye ki nafarmaniyo ki moujoodgi mai kush’haali ka naseeb hona door ki baat, mojooda ne’mato ke bhi chin jaane ka khatra hota hai. Aur is ki waze daleel hazrat aadam (AS) aur unki beewi haw’wa ka qissa hai. Allah tala ne unko jannat ki her nemat aur aa’saish se luft andoz hone ki ejazat di aur sirf ek cheez se mana kar diya tha ki tum ko ek darakht ke qareeb nahi jana hai, lekin shaitan ke phuslane per jab unhone jus darakht ko khaya to allah ne unhe jannat ki sari nemat’e se mehroom kar ke unhe zameen per utar diya aur ye unki ek galti jannat se mehromi ka sabaab bani. Aur aaj hum kitne gunaah karte hai aur phir bhi hum khush’haali ke mutaman’ni hai!! Ye yaqeeni tour per hamari galat’fehmi hai, aur hum agar waqa’e khush’haal bhari zindagi basar karna chate hai to hame allah ki nafarmaniyo se kul’li tour per ijtinaab karna hoga.
Aur mai apko yaad dilana chahta ho isi tarah iblees ka bhi qis’sa hai, Allah ne use aadam (AH) ke samne sajda karne ka hukm diya tha lekin us ne takab’bur karte hue sajde se inkar diya, phir nateeja kya nikla? Allah tala ne use hamesha hamesh ke liye mal’oon qarar de diya. Ye sirf ek sajda chorne ki saza thi, aur aaj kitne musalman aise hai jo kitne sajde chor dete hai kya humne kabi ye gour kya? Are dosro ke bare mai nahi apne bare mai zara soche. Panch waqt ki farz namazo mai hum man maani karte hai. In sub ke ba’wajood hum khus’haal zindagi chahte hai, To kya hamari zindagi kamyabi-wa-kamrani se hamkinar ho sakti hai?
Balki sitam ba’laye sitam to ye hai ki aj bhut sere log ka’e buraiyo ko buarai tasaw’wur hi nahi karte aur bila’khouf-wa-tarad’dud unka irtikaab karte hai. Lihaza zaroorat is baat ki hai hum apne girah’baan mai muh dal kar sanjeedgi ke sath apna jayeza le aur apni islah karne ki koshish kare. Jab hum khud apni islaah kare ge aur apne daman ko allah tala ki nafarmaniyo se bachaye ge to yaqeenan allah tala bhi hamari halat per rahem khaye ga, hame maaf kar dega aur hame khush’haal zindagi naseeb kare ga. Mere dosto hum jaaye to uske dar pe, sajda to kare uske dar pe, mange to uske dar se aur kahe: aa’ee allah hum tere hi dar se wabsta hai, hum tere hi dark e faqeer hai, tere dar ke siwa hamara koi dar nahi, phir dekhiye allah ki rahmate-barkate aap ke sath kaise hoti hai. lekin aaj hum na jane kha kha sajda karte hai allah ke dar k o chor gair’allah ke samne sajda’raiz hote hai to is haalat mai kya allah tala hame maaf kere ge? mere dosto allah bhut raheem-o-kareem hai ek adna si neeki usko pasand aajaye aur wo apne bande ko maaf kar de jannat’ul firdous de de. Isliye her musalaman ke andar taqwa hona zaroori hai…
“Sirf ehsas-e-nidaamat ek sajda aur chash’maee tar
Aa’ee khuda kitna aasan hai manaana tujh ko”
Hazrat anas (RZ) taba’ee ko mukhatib karke ye kaha karte the:
“aaj tum aise amal karte ho jo tumhari nigaah mai baal se bhi ziyada bareek (bhut chote) hai, jab ki hum unhe rasool allah (saw) ke zamane mai halak karne wale gunaaho mai shumar kya karte the”
[bukhari, kitb’ur riqaaq: #6492]
Mere mohtaram dosto ye taba’ee ke dour ki baat hai, jo sahaba ekram ke dour ke baad ka sub se behtareen dour tha aur aaj hamare dour main na jane kya kya hota hai? Bus allah ki panah!
Allah tala se du’a hai ki Allah SWT hum sab ko apni panah mai rakhe, hamare dilo mai taqwa de de aur sirat-e-mustaqeem pe gaam’zan rakhe aur hum sab per apni nazar-e-karam banaye rakhe, hamara khatma ho, to emaan per ho... AAMEEN YA RAB’UL ALAMEEN
TALIB-E-DU’A: Abdullah bin jamey