Kush’gawaar zindagi basar karne ke usool mai pehla usool 'EMAAN AUR AMAL' hai
Farman e ilaahi hai:
“Jo shaks neek aamal kare, mard ho ya aurat, ba’shart ki imaan wala ho to use hum yaqeenan bahut acchi zindagi aata karege aur unke neek aamal ka behtar badla bhi zaroor denge” [AL-NAHAL: 97]
Allah tala ne tamam insano ko mitti se paida kiya aur aadam (AS) ko un sub ka baap banaya. is lihaz sub ki bunyaad to ek hai lekin ka’ee aitbaar se wo ek doosre se mukhtalif hai. Koi shakal suraat ke aitbar se ek doosre se aalag to koi maa’shee aitbar se ek dosre se aalag hai. Koi maaldar, koi gareeb, koi baakheel, koi sakhi, ise tarah imaan aur aamal ke aitbaar se bhi wo aalag aalag nazaryaat ke hamil nazar aate hai. koi moomin koi kaafir koi neek paarsa koi faasiq o fajir koi ba’kirdar koi ba’ikhlaaq aur koi bad’kirdar aur koi bad’ikhlaaq lekin ye sub ke sub apne ahwaal me mukhtalif hone ke bawajood ek baat pe muttafiq nazar aate hai aur wo hai khush’haal zindagi ki taman’na aur aarzoo.
Aap mai se her aadmi ye chahta hoga ki wo khushgawaar aur ba’waqaar zindagi hasil kar sake aur dunya ki pareshaniyo aur mushkilaat se chutkara pa sake. Is mukhtasar se article mai hum khush’gawaar zindagi ke husool aur pareshaniyo aur azma’esho se najat hasil karne ke kuch usool zikr karege. Agar hum in per aamal karege to zaroor apne maqsad ko pahuch jayege.
To aaye hum qur’an aur sun’nat ki roshni mai khus’gawaar zindagi ke usool dhonte hai.
Pehla usool :- imaan aur aamal
Kush’gawaar zindag ka pehla usool “imman wa aamal hai”
jaisa ki allah ka farmaan hai!
“Man AAamila salihan min thakarin aw ontha wahuwa mu/minun falanuhyiyannahu hayatan tayyibatan walanajziyannahum ajrahum bi-ahsani ma kanoo yaAAmaloona” [nahal: 97]
“Jo shaks neek aamal kare, mard ho ya aurat, ba’shart ki imaan wala ho to use hum yaqeenan bahut acchi zindagi aata karege aur unke neek aamal ka behtar badla bhi zaroor denge”
Aur farmaya:-
“Allatheena amanoo waAAamiloo alssalihati tooba lahum wahusnu maabin” [raa’d: 29]
“jo log imaan laaye aur neek aamal kiye unke liye kush’haali bhi hai aur umda thikana bhi”
In aayat mai allah taala ne her aise shaks ko bhut hi khus’gawaar aur kamyaab zindagi aur khush’haali bahri zindagi aata karne ka waada kiya hai jis mai do sharte paayi jati hai. Ek ye ki wo momin ho aur dosra ye ki wo aamal e saleeh karne wala ho, ba’kirdar aur ba’ikhlaaq ho. Aur agar hum in do sharto ko pura kar de to koi wajah nahi ki hume khush’gawaar zindagi naseeb na ho Q ki allah apne wade mai sach’ca hai aur wo wada khilafi nahi karta.
Farman e eelahi hai:
“inna Allaha la yukhlifu almeeAAada” [al imran: 9]
“yaqeenan allah wada khilafi nahi karta”
Aur ye baat hume maloom hue ki tamaam insano ki khair o bahlai eeman aur aamal e saleeh mai hi hai.
Aur agar iske bar’aks koi shaks apni zindagi guzarta hai to yaqeen kar lena chahiye ki wo lakh koshish kare us kamyaabi nahi mil sakti.
Jaisa ke farman e eelahi hai:
“Waman aAArada AAan thikree fa-inna lahu maAAeeshatan danka*wanahshuruhu yawma alqiyamati aAAma Qala rabbi lima hashartanee aAAma waqad kuntu baseera* Qala kathalika atatka ayatuna fanaseetaha wakathalika alyawma tunsa” [ta’ha: 124 to 126]
“Jo shaks meri yaad se rugardaani karega wo yaqeean dunya mai tang haal rahega aur qayamat ke roz hum use andha uthaye ge, wo kahega: ae mere rab! tone mujhe andha Q uthaya hai? Dunya me to mai khoob dekhne wala tha. Allah kahega: Isi tarah tumhare paas meri aayat’e aayi thi tumne unhe bhula diya tha aur aaj isi tarah tum bhi bhula diye jaoge”
In aayat mai allah ne kahbar’dar kiya hai ki jo shaks mere deen se muuh modega aur mere ehkaamat ki parwa nahi karega to mai dunya mai uski zindagi tang haal bana doga aur khus’haal zindagi se mehroom kar dooga.aur us ke alawa use qayamat ke din andha uthaooga, wo mujh se is ki wajah pooche ga to mai kahoga jaisa tumne kiya waisa tumhe badla diya ja raha hai. Tumhare paas mere ehkaam aaye ahle-ilm tumhe meri aayat paad kar sunai mere nabi ki hadeese tumhare samne rakhi gae lekin tumne unko pashe’pusht daal kar apni man’mani ki aur tumhare jo jii mai aaya tumne wahi kiya isi tarah mujhe aaj tumhari koi parawaah nahi.
Birdar’aane islam agar hum waqiaatan khush’haal zindagi chahte hai to hume allah swt ke deen ko mazbooti se thamna hoga aur man’mani ke bajaye allah ke ehkaam ko maana hoga. Aur sub se bada hukm allah ka ye hai ki hum uski khalis eebaadat kare uski zaat mai kisi ko shareek na kare. Sirf usi ko pukare, sirf usi ko nafa wa nuqsaan ka malik samjhe, sirf usi ko daata, madadgaar, mushkil kusha, hajat rawa samjhe aur usi ko hi gous e aazam tasawwur kare. Agar hum kahlis allah ki ebaadat kare to hume khus’haal aur pakeeza zindagi naseeb hogi. Warna jo log allah ko choor kar gair allah ke aage sir jhukate hai, gair allah ke aage nazar o niyaz chadate hai, gair allah ko daata, mushkil kusha, haajat rawa samjhte hai aur unhi ke samne hath phailate hai, to unhe dar dar ki thokre hi naseeb hoti hai aur zil’lat wa khuwari ke aalawa kuch bhi naseeb nahi hota.
Jaisa ke farman e eelahi hai:
“waman yushrik biAllahi fakaannama kharra mina alssama-i fatakhtafuhu alttayru aw tahwee bihi alrreehu fee makanin saheeqin” [hajj: 31]
“jo shaks allah ke sath kisi ko shareek banata hai wo aisa hai jaisa aasman se gira hua phir parinde use faza hi mai uchak le ya taiz hawa use door daraz jagah per le ja kar pheenk de”
Yani mushrik ka anjam siwaye tabahi aur barbadi ke kuch bhi nahi.
Aur doosra allah ka sub se bada hukm ye hai ki hum uske mehboob nabi mohammad saw ki it’tiba kare aur uski nafarmani se bache. Agar hum aisa karege to allah humse raazi hoga Q allah ne apki eet’at ko apni eet’at qarar diya hai aur jab allah razi hoga to yaqeenan hume khush’haal aur ba’waqaar zindagi aa’ta karega. Aur agar hum rasool allah ki nafarmaani karege aapki sun’nat se muuh mod kar deen mai eejad karda naye umoor (bid’aat) per aamal karege to dunya mai hamare upar aazmaish’e toot padegi aur qayamat ke rooz nabi ke hatho houz e kousar ke paani aur apki shifa’at se maroomi se do char hona padega. Wal’ayazo bil’laah.
Allah tala ka farmaan hai:
“falyahthari allatheena yukhalifoona AAan amrihi an tuseebahum fitnatun aw yuseebahum AAathabun
aleemun” [an’noor: 63]
“jo log allah ke rasool ki mukhalifat karte hai unhe is baat se darna chahiye ki wo museebat mai giraf’taar na ho jaye ya unhe koi dard’naak azaab na aa pahuche”
Is aayat mai allah ke rasool ke ehkamaat ki khilaf warzi karne walo ko sakht tam’beeh hai ki wo is fail se baaz aajaye kahi aisa na ho ki is fail ki wajah se un per koi aazma’ish ya allah ka dard’naak azaab aajaye.
Kamyaab aur khush’gawaar zindagi ke pehle usool ka khulasa ye hai ki eemaan aur aamal e saleeh ki bina per hi hume kamyab zindagi naseeb ho sakti hai. Aur eemaan bil’laah ka sub se bada taqaza ye hai ki hum aqeeda e touheed per qayeem aur daeem rahe, jab ki eemaan bil’rasool ka ek lazmi taqaza ye hai ki hum rasool allah ki eeta’at wa farmabardari ko apna odna aur bichouna banaye aur apke uswa’ee hasna ki roshni mai zindagi basar kare. Is tarah hume dunya ke dukho aur sadmoo se hume chutkara milega aur hamari zindagi kamyabi ke raste per gaamzan ho jayegi.
Allah tala se du’a ki Allah SWT hum sab ko apni panah mai rakhe, hamare dilo mai taqwa de de aur sirat-e-mustaqeem pe gaam’zan rakhe aur hum sab per apni nazar-e-karam banaye rakhe, hamara khatma emaan per kare... AAMEEN YA RAB’BUL ALAMEEN
TALIB-E-DU’A: Abdullah bin jamey