Sunday, 31 July 2011


MUKHTASAR FAZAIL WA MASAEL RAMZAN

Bismillahirrahmanirraheem


ROZE KI TAREEF:
" Siyam" arbic lugat me isko ruk jaane ko kahte hain, shar'an uska matlab yah hai ki ibadat ke iraade se khaane, peene aur aurton se sex aur deegar kamon se subah saadiq se sooraj ke guroob hone tak bache rahna.


ROZE KI FARZIYAT QUR’AN SE:-
Allah swt qur’an mai faramata hai “aee imaan walo tum per bhi roze is tarah farz kiye gaye hai jaisa ke agli ummato per farz kya gaye the  taki tum taqwa hasil kar sako” [al-baqra: 183]
Mahe ramzan ke roze islam ke arkan mai se teesra arkan (pillar) aur ahem rukn hai. Jo (Shaban 2 hijri) mai farz kiye gaye aur nabi saw ne apni zindagi mai 9 bar ramzan al Mubarak ke roze rakhe.


FAZAIL-E-ROZA:-
App saw ne farmaya “Jisne eeman ki halat mai allah se sawab ki um’meed rakhte hue mahe ramzan ke roze rakhe uske saabqa gunah 
maaf kar diye jate hai” [bukhari wa muslim]

Aap saw ne farmaya! " roza jahannum se dhaal hai jis tarah tumhari ladaai bachaane waali dhaal hoti hai"
[musnad ahmad]

Naiz aap saw ne farmaya! " jo shakhs allah ke raaste Me ek din ka roza rakhta hai allah uska chehra us din ke badle jahannum se 70 saal door kar dega" (bukhari,muslim)

naiz aap saw ne farmaya! " iftaar ke waqt rozedaar ki duwa radd nahi ki jaati" (ibne majah)

naiz aap saw ne farmaya! " jannat me ek darwaja hai jise ' riyaan' kaha jaata hai, qiyamat ke din usse roze waale daakhil honge, unke elawa unme se koi andar nahi ja sakega, pukaara jaayega rozedaar kahan hai? We khade ho jaayenge, unke elawa koi aur us(darwaje) se daakhil nahi hoga, jab ye daakhil ho jaayenge to darwaaja band kar diya jaayega aur koi bhi daakhil na hoga"


ROZA KHORO KA ANJAM:-
Hazrat abu umama se marwi hai ki maine aap saw se suna “mai soya hua tha ki Mare khuwab mai do farishte aaye aur mera baazoo ko pakda aur mujhe uthaaya aur dushwar chada’ee wali pahadi per le gaye aur mujhe is per chadne ke liye kaha maine kaha:  is per mujhe chadna nahi aata, to unhone kaha: “ap koshish kare hum apka ta’woon (help) karege” maine chadna shoro kiya yaha tak ki mai pahadi per pahuch gaya to maine waha cheekhne chil’lane ki aawaze suni, to maine un se kahaye cheekh-o-pukar kaisi hai?  “To unhone jawab diya ye jahanam’yo ki aah wa pukar ka shor hai” phir us ke baad mujhe waha se le jaya gaya jaha kuch loog ulte latke hue the un ki baache cheeri di gai thi aur khoon baah raha tha maine poocha ye kon log hai?  To jawab mila ye wo log hai jo ramzan ke maheene mai khaya piya karte the”
[sahi targeeb wal tarheeb]



ISTIQBALI ROZA:-
Ramzan al Mubarak ke istiqbal ke liye ek ya do din pahle roza rakhna jayez nahi hai [ibn-e-maja] haa agar koi pahle se roza rakh raha ho aur uske maamool ye din aaye to wo roza rakha ja sakta hai


WAJOOB ROZE KI SHARAYAT:-
i)        Islam
ii)      Balogat (nabalig per roza farz nahi hai agar wo apne marzi se roza rakhna chahe to wo inshallah sawab ka mustaheq hoga)
iii)    Aqal (majnoon ya pagal per roza farz nahi hai yaha tak ki wo tandurast na ho jaye)
iv)    Taqat aur sehat (roza rakhne wala roza rakhne ki taqat rakhta ho lihaza jo mareez roza na rakh sakta ho, musafir jise safar dar’paish ho agar roza na rakh sake to aftar kar sakta hai lekin baad mai qaza deni hogi, aur isi tarah aur’tee aay’yam-e-makhsoosa mai roze nahi rakhegi baad mai qaza degi. Agar mumkin ho to fidya dena bhi durast hai.



ROZE KI NIYAT:-
Niyat ka tall’luq dil se hai pus dil mai roze ki niyat ki jaye, aur jo apni taraf se alfaz banaye gaye hai “bis’somi gadin’nawaito lil’lahi taala min shahri ramzan” kisi hadees se sabit nahi hai, naiz farz roze ki niyat tulu fajar se pahle karna zaroori hai. Nabi saw ne farmaya! “jisne tulu fajar se pahle roze ki niyat nahi ki uska roza nahi hai” [abo daood, timizi, ibn-e-maja] lekin nafli roze ki niyat tulu fajar ke baad zohar se pahle ki ja sakti hai.


SAHRI KHANA:-
Aap saw ne farmaya! “sahri khaoo kyo ki sahri kahane mai barkat hai” [mut’tafaq aalaih] aur sahri takheer se khana afzal hai, aur agar khane ke douran azan-e-fajar shoru ho jaye to jo kuch kha rahe ho use pura kha lena chahiye, agar raat ko roze ki niyat kar ke soye aur sahri mai bedaar na ho sake to aisi sorat mai bagair kuch khaye piye roza pura kar le to roza sahi hoga, naiz agar gusl-e-wajib ki haajat ho aur sahri ka waqt kam ho to is halat mai pahle wazoo karke sahri khale aur phir gusl kar ke namaze aada kare. [bukhari]



AFTAARI:-
Aftab guroob hote hi roza afrat kar lena chaye, aur aftari behtar hai ki khajoor ke sath ki jaye, aur agar khajoor mayas’sar na ho to paani se ya kisi bhi cheez se aftar kar sakta hai. [abo daood, tirmizi]



AFTARI KI DU’A:-
i)                    Alla’hum’ma laka sumto wala rizqu’qa aftarto 
         [abo daood]
“ae allah maine teri raza ke liye roza rakha aur tere hi aata karda rizq se aftar kar raha hoo”
ii)                  Zahabaz’zamaoo wabtal’latil’urooqo wasabatal ajro      inshallah [abo daood, hakim]
“piyas bujh gai rage tar ho gai aur allah ne chaha to ajar bhi sabit ho gaya”


DOSRO KO AFTAR KARANE KA AJAR WA SAWAB:-
Hazrat zaid bin Khalid RZ se rawayat hai ki aap saw ne farmaya! “jisne kisi rozadar ko aftar karaya use bhi rozedar ke barabar sawab mile ga ” [tirmizi]


GALTI SE ROZA AFTAR KAR LENA:-
Kharab mosam ki bina per Agar galti se roza aftar kar liya to roze ki qaza deni hogi.


JIN CHEEZO SE ROZA TOOT JATA HAI:-
i)                    Danista  khana peena
ii)                  Roze ki halat mai qas’dan azwaji talluqaat (sexual relation)  qaaem karna ya maada touleed  kharij (seemen) karna ya mushtzani (self abuse) karna.
iii)                Jaan boojh kar ulti (womating) karna.
iv)                Naak mai pani ya dawa is tarah dalna ki halaq mai utar jaye.
v)                  Glucose ya gizayat ka injection lagwana.
vi)                Huq’qa, cigrate, ya beedee peena.
vii)              Haiz ya nifaas shuru hona.
viii)            Roze ki niyat khatam kar lena.
ix)                Junoon tari hona.


JIN CHEEZO SE ROZA NAHI TOOT’TA:-
i)                    Bhool kar khana peena.
ii)                  Ahteelam (emissions) hona.
iii)                Khud ba khud ulti hojana.
iv)                Khushk ya tar miswak istimaal karna.
v)                  Surma lagana, sir mai tail lagana, jism mai khushboo lagana.
vi)                Makhi, machar, ya gard o gubaar, dhuaa halaq mai utar jana.
vii)              Masoodo se nikalne wala khoon, ya dato mai atke hue zar’rat ka halaq mai utar jana.
viii)            Ba’wqat zaroorat kisi mareez ko khoon dena.



ROZA KI HALAT MAIN JIN CHEEZO SE IJTINAB ZAROORI HAI:-
i)                    Jhoot, geebat, chugli, bohtan tarazi, galo galooch karna.
ii)                  Chori chepe kisi ki baate sunna baadgumani karna kisi ke aib talash karna.
iii)                Fahash letrature, filme, aur fahash drame dekhna.
iv)                Waqt zayee karne wali games khelna.
v)                  Amanat mai khayanat, duty times puri na karna.
vi)                Apne mulazmeen per beja sakhti aur faraiz mai kotahi karna.
(ye cheeze aam halat mai bhi najayez hai lekin halat e roza mai aisa karne se roze ke ajar wa sawab mai kami waqe hoti hai )



NAMAZ E TARAWEEH:-
Taraweeh , qayam ul lail, tahaj’jud ek hi namaz ke alag alag naam hai, qayam ramzan ya taraweeh sunnat hai jiski fazeelat bayan karte hue app saw ne farmaya!”jis momin ne allah se husool e sawab ki niyat se ramzan ki raato mai qayam kiya (yani taraweeh aada ki) uske guzashta gunaah maaf kar diye jate hai ”

Hazrat aisha (rz) se sawal kiya gaya ki aap saw ne ramzan ki raato mai kis qadar qayam farmaya karte the?  To unhone jawab diya!”aap ramzan aur gair ramzan giyarah (11) rakat se zada nahi pada karte the”
[bukhari wa muslim]

Hazrat jabir  (rz) se rawayat hai ki nabi saw ne hame ramzan mai aath (8) rakat taraweeh padai. Lihaza masnoon taraweeh giyarah rakat hai yani aath 8 rakat taraweeh aur  teen (3) witir. Naiz namaz e taraweeh ba’jamat panda afzal hai.


AKHIRI ASHRE KI FAZILAT:-
Hazrat aisha (rz) farmati hai! ”jab akhiri ashra shuro hota to aap saw ebadat ke liye kamar basta hojate aur un raato ko khud bhi raat bhar ebadat karte aur apne ahle-khana ko bhi bedar rakhte”
[mutafaq alaih]


ETIKAAF:-
Ramzan ke akhiri ashre ka etikaf masnoon hai, yani aisi  masjid jaha  juma aur  jamat ka ehtimaam ho to ebaadat ki niyat se 21 ramzan ki subah apne motakaf (jaha etikaaf karna hai) mai dakhil hona aur eid ka chand dekh kar waha se nikalna, aur is douran bagair zaroorat waha se na nikalna, shadi biyah,  ayadat aur janaze mai shirkat na karna, balki yaksoo hokar tilawat e quran, nawafil aur zikr e azkar mai mashgool hona chaye, etikaf ek din ya us se kam ka bhi kiya ja sakta hai.


LAIL’LATUL QADAR:-
Allah ne ramzan ke akhiri ashre mai ek raat aisi rakhi hai jis ki ebaadat hazar maheeno (83 year 4 month) se behtar hai aur is raat ki jane wali dua’ee allah radd nahi farmate. Hazrat aisha farmati hai ki app saw ne farmaya! ”ramzan ke akhri ashre ki taaq raato mai lail’latul qadar ko talash karo” [tirmizi, nisai, ahmad]


LAIL’LATUL QADAR KI DU’A:-
Allahumma in’naka afoo’wan tuhib’bul affwa faafoo an’ni
(allah! To maaf farmane wala hai maafi ko pasand karta hai pas mujhe maaf karde)


ROZO KI QAZA:-
Agar kisi wajah se ramzan mai roza na rakhe ja sake, ya roza rakh kar tood diya ho to uske badle ramzan ke baad roza rakh kar us ki qaaza deni hogi. Agar roza rakhne ki himmat na ho jaise ke musalsal  mareez wagairah to unhe fidya dene ki ejazat hai, yani her roze ke badle ek miskeen ko do waqt ka khana khilana. chahe to her rozz khilaye ya chahe to ek sath hi tamaam rozo ka hisaab laga kar use de de.


ROZO KI QAZAA AUR KAF’FARAH:-
Agar halat e roza mai azwaji talluqaat se roza fasid hua to phir qazaa ke sath kaf’farah bhi dena hoga, yani ek gulam aazad karna ya doo maheene tak lagatar roza rakhna ya 60 miskeeno ko khana khilana.


ROZE KE TIBBI FAAYEDE:
Roze ke tibbi fayede hain, roze ke faayede me ' sabr ki hiqmat' hoti hai, apne aap par control karna sikhaata hai aur usme madad karta hai aur nafs wa ruh me taqwa ka ansh ijaad karta hai aur usko badhaata hai, aur yahi taqwa ki wajah allah taala ne qur'an paak me irshaad kiya hai

" tum par roza farz hai jis tarah Tumse pahle logon par farz tha taaki tum muttaqi ban jaao"
(qur'an)



(Allah forgive our sins and show us right path of those on whom you have bestowed your grace)


               




No comments:

Post a Comment