Friday 11 November 2011

Kush’gawaar zindagi hasil karne ka doosra usool “NAMAZ” hai


bismil'la'hirr'rahma'nir'raheem

Farman e ilaahi hai:
“Jo shaks neek aamal kare, mard ho ya aurat, ba’shart ki imaan wala ho to use hum yaqeenan bahut acchi zindagi aata karege aur unke neek aamal ka behtar badla bhi zaroor denge” [AL-NAHAL: 97]

Allah tala ne tamam insano ko mitti se paida kiya aur aadam (AS) ko un sub ka baap banaya. is lihaz sub ki bunyaad to ek hai lekin ka’ee aitbaar se wo ek doosre se mukhtalif hai. Koi shakal suraat ke aitbar se ek doosre se aalag to koi maa’shee aitbar se ek dosre se aalag hai. Koi maaldar, koi gareeb, koi baakheel, koi sakhi, ise tarah imaan aur aamal ke aitbaar se bhi wo aalag aalag nazaryaat ke hamil nazar aate hai. koi moomin koi kaafir koi neek paarsa koi faasiq o fajir koi ba’kirdar koi ba’ikhlaaq aur koi bad’kirdar aur koi bad’ikhlaaq lekin ye sub ke sub apne ahwaal me mukhtalif hone ke bawajood ek baat pe muttafiq nazar aate hai aur wo hai khush’haal zindagi ki taman’na aur aarzoo.

Aap mai se her aadmi ye chahta hoga ki wo khushgawaar aur ba’waqaar zindagi hasil kar sake aur dunya ki pareshaniyo aur mushkilaat se chutkara pa sake. Is mukhtasar se article mai hum khush’gawaar zindagi ke husool aur pareshaniyo aur azma’esho se najat hasil karne ke kuch usool zikr kar rahe hai, Agar hum in per aamal karege to zaroor apne maqsad ko pahuch jayege.

To aaye hum qur’an aur sun’nat ki roshni mai khus’gawaar zindagi ke usool dhonte hai.

Kush’gawaar zindagi hasil karne ka doosra  usool “NAMAZ” hai

Kamyabi aur kush’haal zindagi ka doosra usool NAMAZ hai jo ki allah tala ka taqar’rub hasil karne ka beh’tareen zarya hai…

Rasool allah s.a.w. ka irshad mubarak hai: “banda apne rub ke sab se ziyada qareeb sajde ki haalat mai hota hai lihaza tum (sajde ki halat mai) ziyada du’a kiya karo” [sahi muslim#  482]

Aur jab banda apne rub ke qareeb ho jata hai tub wo jo chahe wo us se talab kar sakta hai isi liye allah SWT ne namaz ke zarye se madaad talab karne ka hukm diya hai.

Farman-e-ilaahi hai:
“Ya ayyuha allatheena amanoo istaAAeenoo bialssabri waalssalati inna Allaha maAAa alssabireena”
“Aa’ee imaan walo! (jab tum koi mushkil mai ghir jaao) to sabar aur namaz ke zarye se madad talab karo, yaqeenan allah sabar karne walo ke sath hai” [surah baqra# 153]

mere mohtaram islami bhaiyo Is aayat mai allah taala ne ahle-e-imaan walo ko mukhatab kar ke hukam diya hai ki wo her qism ki mushkil ke aa’zaale ke liye sabar aur namaz ke zarye us se madaad talab kare. Is aayat se maloom hua ki allah taala sabar karne wale aur namaz padne wale padne wale momin bande ki madad farmata hai, aur use tamaam mushkilaat se najaat deta hai. Goya namaz dukho aur sadmo ko door karne wali hai, namaz aada karne se dilo ko it’minaan naseeb hota hai aur gamo ka bojh halka hota hai.

Isi liye rasool allah s.a.w. ne farmaya:
“meri ankho ki thandak namaz mai rakhi gayi hai” [nisaai, sahi al-jamey al-sageer# 3124]

Is liye mere momin aur islami bhaiyo agar hame khush’gawar zindagi chaye to hame namaz ka panj’waqta paband hona padega tabhi allah SWT hame khush’haal zindagi naseeb karege…

Ek ibrat naak waqia:
Hafiz ibn-e-asaa’kar (RH) ne tarekh-e-damishk mai ye waqia zikr kya hai: “ek faqeer aadmi apne khach’char per logo ko laad kar damishk se zaid’aani le jaya karta tha aur us per kiraya wasoola karta tha. Us faqeer ne qis’sa bayan kiya ki ek martaba ek shaksh raste mai sawar hua aur mujh se kehne laga: ye rasta choor do aur us raste se chalo Q ki hum is se apni manzil-e-maqsood tak jaldi pahuch jaye ge. Maine kaha: nahi! mai wo rasta nahi janta hoo yahi rasta ziyada qareeb hai. Us ne kaha: wo ziyada qareeb hai (jo usne phle bataya tha) tumhe usi raste se chalna hoga. Akhir kaar hum usi raste se chal pade, aage jakar ek dushwar sa rasta aa gaya jo ek gehri waadi mai tha aur waha bhut si laashe padi hui thi. Us ne kaha: ruk jao! Mai ruk gaya, aur wo utarte hi churi se mere uper hamla’war ho gaya. Mai bhaag utha mai aage aage wo mere peeche peeche. Akhir kaar maine allah ki qasam de kar kaha: khach’char aur us per lada hua jo maal hai wo tum le lo aur meri jaan baksh do. Us ne kaha: wo to mera hi hai aur mai tumhari jaan le kar hi dum luga. Maine use allah se daraya aur saza’ee yaad dilae lekin us ne meri ek na suni. Chunan’che maine us se kaha ki tum mujhe do rakat namaz padne ki mohlat de do. Us ne kaha: theek hai jaldi paad lo. Maine qibla rukh kade ho kar namaz padni shuru kar di, lekin mai is qadar khouf’zada tha ki meri zaban per ek bhi qur’an ka lafz nahi aa raha tha, aur wo udhar baar baar keh raha tha: apni namaz jaldi khatam karo, mai intihaai hairaan aur pareshan tha. Aakhir kaar allah tala ne meri zaban per qur’an majeed ye aayat jari kar di (jis ka tarjuma ye hai) “bhala koun hai wo jo laa’cahro ki faryad ko sunta hai jab wo usko pukare aur us ki takleef ko door kar deta hai” phir maine dekha ki acaha’nak ek ghud’sawar hath mai neeza liye waadi ke muh se namodaar hota hai, us ne aate hi wo neeza us ke dil mai pewast kar diya jo mere qatal ke liye peeche khada tha. Maine us ghud’sawar se allah ka wasta de kar poocha: tum koun ho? Us ne kaha: mujhe us ne bheja hai jo laa’char ki faryaad sunta hai aur us ki takleef ko door kar deta hai. phir maine apna khach’char apna saz-o-saman pakda aur salamti se wapas lout aaya.

Mere mohtaram azeez deeni bhaiyo ye qis’sa is baat ki daleel hai ki banda-e-momin jab namaz ke zarye allah taala se madaad talab karta hai to wo us ki madad zaroor karta hai, aur mushkil ke waqt use be’yar-o-madad’gaar nahi choorta. Yaad rahe ki namazo mai sab se pahle farz namaz ka ehtimaam karna zaroori hai jo ki deen ka sutoon hai, us ke baad sunan aur nawafil ka ehtimaam khuso’san farz ke pahle aur baad ki sunnato ka, aur phir tahaj’jud ki namaz ka ehtimaam. Mere azeez bhaiyo Namaz-e-tahaj’jud padne ke bahut se faide hai ek faida-e-azeem ye hai ki allah taala tahaj’jud guzar ko jis’maani takleef aur beemaryo se shifa naseeb karta hai, lihaaza jo log elaaj kar kar ke thaak chuke hai to unhe ye nabvi s.a.w. elaaj zaroor apna’na chaye. 

Rasool allah s.a.w. ka irshad-e-girami hai:
“tum raat ke qayam ko zaroor kiya karo,Q ki ye tumse pahle sul’ha ki aadat thi aur raat ka qayam allah ke qareeb karta hai aur gunaaho se bachata hai burayo ko mitata hai aur jismaani beemaryo ko door karta hai” [ahmad, tirmizi, sahi al-jamey al-sageer#  4079]  
  
Mere mohtaram bhayo jab apki tabyat mai pareshaniyo, dukho, aur sadmo se do chaar ho jaye aur aap sakht be’chain ho to wazu kar ke baar’gaah-e-ilaahi mai ajaye hath baandh kar us se du’ae munaajat shuro kar de, aur phir badshao ke badshaah aur rahman-o-raheem ki zaat ke samne jhuk kar apne gunaho per nidamat aur sharmin’dagi ka izhaar kare us ke baad us se mushkilaat ke aaza’lee ka sawal kare, to yaqeenan apki be’chaini khatam ho jaye gi. Sukoon-o-itmi’naan naseeb hoga aur allah taala apko khush’haal bana dega.

Allah SWT hum sab ko paanch waqt ka namazi bana de aur sirat-e-mustaqeem pe gaam’zan rakh’yo aur hum sab per apni nazar-e-karam banaye rakhy’o.  AAMEEN YA RAB’BUL ALAMEEN

TALIB-E-DU’A: Abdullah bin jamey



No comments:

Post a Comment